Baarish Ke Mausam Lyrics
Yeh raat hai haseen
Andhera bhi rangeen
Tere saath main
Nazare behtareen
Jaise ghuli afeem
Barsaat main
Jadoo sa hua,
Tere aane se behka behka hai samaah
Tune jo chua,
Garje hain baadal aur barse aasmaan
Paas bulaye bulaye hawayein yeh humein
Aa bheeg jaaye, haan jaaye baarish ke mausam main
Paas bulaye bulaye hawayein yeh humein
Aa bheeg jaaye, haan jaaye baarish ke mausam main
Mitaye
Hontho se dooriyo ko hum mitaye
Bitaye
Baaki ke pal jo baahon mein bitaye
Boondon mein nasha jo ghula
Woh chadhne laga hai
Pyaas aur badhne lagi
Aankhon mein teri jo dooba hoon
Dooba hi rehna chahoon
Mujhe aur koi talab nahi
Paas bulaye bulaye hawayein yeh humein
Aa bheeg jaaye, haan jaaye baarish ke mausam main
Paas bulaye bulaye hawayein yeh humein
Aa bheeg jaaye, haan jaaye baarish ke mausam main
O raj raj ke saawan aaj barse
Dil ki zameen bheegne ko tarse
Hoti rahein barsatein tere mere ishq ki
Kabhi door na jaana tu nazar se

