
Lajawaab Lyrics
Kuch bhi nahi apne darmiyaan
Toota hai dil ye is tarah
Bikhra hua hoon aaj main
Kisko kahu jaake ye bhala
Kal seene mein gulaab tha
Ab haathon pe sharaab hai
Kal khushiyan behisaab thi
Ab gham ye behisaab hai
Nazron ke saamne
Hain pal jo thhe haseen sabhi
Tera milna lajawaab tha
Bichhadna lajawaab hai
Pal thhe jo haseen sabhi
Kabhi kabhi tujhe bhi yaad aayenge
Hum sang nahi to na sahi
Ye apne kisse geet ban jayenge
Har pal yahi hoon sochta
Ke ab kabhi to dil ko chain aayega
Ye jo tukde-tukde dil ke bikhre
Sab teri mehfilon mein sajayenge
Ek awaara sa khwaab tha
Ab lagta hai azaab hai
Kal seene mein gulaab tha
Ab haathon pe sharaab hai
Teri mehfilon mein phir kabhi
Na aayenge nazar tujhe
Tera milna lajawaab tha
Bichhadna lajawaab hai
कुछ भी नहीं अपने दरमियान
टूटा है दिल ये इस तरह
बिखरा हुआ हूँ आज मैं
किसको कहूँ जाके ये भला
कल सीने में गुलाब था
अब हाथों पे शराब है
कल खुशियाँ बेहिसाब थीं
अब ग़म ये बेहिसाब है
नज़रों के सामने
हैं पल जो थे हसीं सभी
तेरा मिलना लाजवाब था
बिछड़ना लाजवाब है
पल थे जो हसीं सभी
कभी-कभी तुझे भी याद आएंगे
हम संग नहीं तो ना सही
ये अपने किस्से गीत बन जाएंगे
हर पल यही हूँ सोचता
के अब कभी तो दिल को चैन आएगा
ये जो टुकड़े-टुकड़े दिल के बिखरे
सब तेरी महफ़िलों में सजाएंगे
एक आवारा सा ख्वाब था
अब लगता है अज़ाब है
कल सीने में गुलाब था
अब हाथों पे शराब है
तेरी महफ़िलों में फिर कभी
ना आएंगे नज़र तुझे
तेरा मिलना लाजवाब था
बिछड़ना लाजवाब है
