Aabaad Barbaad Lyrics – Arijit Singh
LYRICS

Aabaad Barbaad

Ludo •
Share
THE WORDS

Aabaad Barbaad Lyrics

Ya to barbaad kar do

Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do

Wo galat tha yeh sahi hai
Jhooth yeh aaj keh do

Itna ehsaan kar do
Itna ehsaan kar do
Poore armaan kar do

Lab pe aakar jo ruke hain
Dhai wo harf keh do
Meri saanson se judi hai
Teri har saans keh do

Mushqil aasaan kar do
Mushqil aasaan kar do
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Ya to barbaad kar do..

Meetha sa yeh zehar
Main to peeta rahunga
Tu khuda na sahi
Main to sajde karunga

Hmm..

Meetha sa yeh zehar
Main to peeta rahunga
Tu khuda na sahi
Main to sajde karunga

Tum jo sheerin na huye kya
Humko farhaad kar do
Meri saanson se judi hai
Teri har saans keh do

Mushqil aasaan kar do
Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do
Ya to barbaad kar do..

Khwabon ko jagah na mili aankhon mein
Wahaan pehle se hi sailaab tha
Nagme banaata fira saajo pe
Dil apna fatak mijraab thha

Hmm..

Khwabon ko jagah na mili aankhon mein
Wahaan pehle se hi sailaab tha
Nagme banaata fira saajo pe
Dil apna fatak mijraab thha

Meri bejaan hasraton ko
Kaabile-daar kar do
Meri saanson se judi hai
Teri har saans keh do

Itna ehsaan kar do
Itna ehsaan kar do
Poore armaan kar do

Ya to barbaad kar do
Ya phir aabaad kar do..

SHARE

Share these lyrics

WATCH

Official Video

QUESTIONS

Know More About Animal

Who is the singer of the song Animal?
The song Animal is sung by Arijit Singh.
Which album is the song Animal from?
The song Animal is from the album Ludo.
Who wrote the lyrics of the song Animal?
The lyrics of Animal are written by Sandeep Srivastava.
Who is in the star cast of the song Animal?
The song Animal features Aditya Roy Kapoor, Sanya Malhotra in the lead roles.
Who composed the music for Animal?
The music for Animal is composed by Pritam.
Which music label released the song Animal?
The song Animal was released under the T-Series music label.
↑